Kisi Bhi Court Case Ki Status Kaise Jane ?

Hello dosto IndTechGyan channel me apka Swagat hai.Jaisa ki dosto hum sabhi jante hai ki hum life me kabhi na kabhi court to jana hi padta hai ya hume court ki jarurat to padti hi. Aise me agar hum par koi court case ho jaye to hume uska status janne ke liye pehle court me jana padta tha but ab is technology ke world me hume ab court ya advocate ke chakkar lagane ki jaroorat nahi hai. Dosto Aaj me apko ek aise App ke bare me batane wala hu jiska use karke aap kisi bhi court me kisi bhi case ki status Jaan sakte hai wo bhi turant apne smartphone se. Dosto ye App Govt. Of India ne launch kiya hai.


Train ki live Status Kaise jane ?

To chaliye bina jyada der ki ye me apko batata hu kaise kisi bhi court case ki status check kare.


Kisi bhi Court Case ki Status Kaise Check Kare ?


Step 1 : Sabse pehle apko ek App Download karna hoga jiska name hai E Courts Services.
Step 2:Ab aap is app ko open kar lijiye.

Step 3: Ab apko Case Status Par jana hai.
Step 4:Uske bad apko apna state and district Select Karni hai ( wo state and district jisme case registered hai )

Step 5:Uske Bad ap case Number Ka Use kare. (aap aur bhi options ka use kar sakte ho )
Step6 : Uske Bad Court Complex,Case Type,Case Number,& Year dalkar Go par Click Kare.

Step 7 : iske bad apko apka case show karega.

Step 8 : us par click karne ke baad apke case Puri  detail show Ho jayegi.


Is App ke through ap kya kya jan sakte hai ?

Friends is app ke through aap apko kisi bhi case ki puri detail mil jayegi jaise ki :

  • Case Type
  • Filing Number and Date
  • Registration Number and Date
  • First and next Hearing of Case
  • Stage of Case
  • Court Number And Judge
  • Petioner And Advocate Name (Jisne case file kiya hai)
  • Respondent and Advocate name(jiske against case file kiya hai )
  • Act(kon konse act lage hai)
  • FIR Detail ( jaise ki FIR Kis Police Station me Kab Liki Gayi hai aur FIR No. Kya hai )
  • Case ki History 
To Friends, Itni detail to apka advocate bhi nahi dega apko jitni ap is app ke through jan sakte hai. 
I Hope ki Yah Article Apko Jarur Pasand aaya hoga .

Please like and share this article to help people......



Post a Comment

Previous Post Next Post