India Me kisi Bhi Jagah Ka Diesel Aur Petrol Price Pata Kare.



Hello Friends me IndTechGyan  me apka swagat hai.Me Aaj Apke liye ek aisa app lekar aaya hu jo apke liye bahut hi jyada useful prove hoga. Friends jaisa ki hum sabhi jante hai ki hamare desh me Diesel & Petrol ke price daily basis change hote rehte hai.Aur inki Update hamare liye bahut jaroori hoti hai.Hum is update ke liye mostly Newspaper par depend rehte hai. But friends Aaj ki is busy life me hamare pas time hi nahi ki hum newspaper pad sake & dusri baat Newspaper hume aaj ki update kal dete hai yani ek din baad.

Iske sath hi jab hum ek state se dusre state me jate hai to hume Diesel & Petrol ki price me kafi difference milta hai. Friends, is digital world me aap bahut sari news website ka bhi use kar sakte hai,but unko learn karna type karne me bhi kafi time lagta hai.

Aaj me aapko ek aise app ke bare me batane wala hu,jiski help se pure desh sabhi Petrol Pumps ke price aapke finger tips par honge.Aur new price change ki updation bhi aapko turant milegi.

Diesel And Petrol ki Latest Update kaise Pata Kare ?

Sabse Pehle  apko Ek app download karna hai jiska naam hai, Oorja-Petrol Diesel Prices India.


Is app ko Jaise hi aap open karenge,To ye khud se aapki location ko trace karke Apke Pas ke sabhi Companies (Jaise HP, Indian Oil,& Bharat Petroleum) ke filling Station Ke Price dikha dega.


Agar ap apni home location ko chhodkar kisi Aur city ki price check karna chahte hai to Simply Change Par click Kar ke City Select Kare.

Is app ki help se hum ye pta kar sakte hai ki humari location par kitne Filling Station hai aur unka Kya Address Hai.

  Iske sath Hi hum last 7 days ke fuel price ko bhi pata kar sakte hai.
To friends I hope Ki yah Apke liye Bahut hi useful Prove hoga.        If You Like This Article to ise jyada se jyada share kare. 


2 Comments

  1. Hello Sir Aap Ki Site Bahut Achhi Hai. Mene Bhi Banayi Hai. Plz Check Kijiye Aur Batayiye Kya Changes Karu:- https://www.mahalootz.blogspot.com

    ReplyDelete
Previous Post Next Post