Mobile Waterproof Hai Ya Nahi kaise Pata Kare ?

Hello Friends me Mahendra Solanki apka swagat karta  hu. Aaj ki is post me hum  janenge in kaise Pata kare ki mobile waterproof/dustproof hai ya nahi ?
Friends jaisa in hum jante hai ki Aaj smartphone ka hamari life me kitna important role hai. Smartphone ki  help se  hum  koi bhi kam asani she kar sakte hai. Humari personal life ka bhi bahut important data bhi mobile me store hota but agar aapka mobile water(Paani) me gir jaye to ?
Aaj ke time me mostly companies waterproof feature ke sath mobile launch kar rahi hai. But is feature ke bare me mostly people ko pata nahi  hota hai. To friends Aaj ki is post me me aapko batane wala hu ki kaise  check kare  ki  aapka mobile waterproof hai ya nahi?

Kisi Bhi Vehicle Ki Puri Detail Kare Jane ?




Mobile Waterproof/dustproof Hai ya Nahi ?


Friends Apka Mobile waterproof/dustproof hai ya nahi ye janne ke do tarike hai.

1. Phone ke feature Ko Check Karke

2. IP Certification Se.


What Is IP Rating ?


IP means  International Protection Marking. Ye ek standard hai jise International Electrotechnical Commisson (IEC) ke through ready kiya gaya hai.
Smartphones me Company ki taraf se IP Certification diya jata hai.

IP67 & IP68 me 6 Ka Matlab?

Jaise agar aapke phone ko IP67 certification mila hua hai to IP67 me 6 ka matlab hai ki Apka Phone DustProof Hai.
Company Iske Liye Smartphones ko Dust me Test karti hai, Is test ko kamse kam 8 Hours Tak kiya jata hai Uske baad Company aapke Phone Ko 6 Certification deti hai. Iska means Hai ki appka phone puri tarah se dustproof hai.

IP67 & IP68 Me 7/8 Ka Matlab?

IP67 & IP68 me 7 & 8 ka means hai ki apka phone puri tarah se waterproof hai. IEC ke according 7 rating ka matlab hai ki Phone par Jyada paani (water) gir jaye ya Phone 1 Meter tak gahare Pani me gir jaye,to phone par Time & Pressure Ke according effect padega. 7 rating ka means hai ki Apka Smartphone 30 minute tak Paani(water) ke andar secure rah sakta hai
IP68 me 8 ka means hota hai ki aapka phone 1.5 meter gahare water me bhi 30 minute tak secure rah sakta hai.

To Friends Is Tarah se aap bhi pata kar sakte hai ki aapka Smartphone Waterproof/Dustproof Hi ya Nahi.

To friends Article kaisa laga hume comment ke through jaroor bataye & koi doubt ho to comment karke jaroor puchhe. Aur is article ko Jyada se jyada Share kare.

Post a Comment

Previous Post Next Post